Skip to Content

अंतर्मन

14 August 2024 by
Jepin Tank

Dear Self,


मैं जानता हूं

तुम पूरी तरह से अकेले हो चुके हो

बाहर से भले ही मुस्कुरा रहे हो

पर अंदर से पूरी तरह से टूट चुके हो


Kyoki...

Koi nahi hai raajee aaj

Tumhare saath judne ko

Koi nahi hai raajee

Tumhare saath baat karne ko

Tum bilkul.tut chuke ho

Aankho me ashk bharkar bhi

Maun ki chadar odhkar

hothon se muskura rahe ho


Bahut si shikayate hai tumhe

Ye Aisa kyun nahi hai

Ye vaisa kyun nahi hai

Raatbhar bas bhavishya ke intezaar me

Kisi ki yaadon me, kisi ke khayalon me

Bas karvate badal rahe ho


Tumahara bhi apna ek parivar ho

Tumhari kadar karne waala koi ho

Jiski ek muskan se

Tumhare saare din ki thakan gaayab ho jaaye

Aisa tumhe samajne waala koi ho

Jiske saath baaten karne par

Samay chakra jaise tham sa jaaye

Aisa koi tumhe chahne waala ho


Jo tumhe badalne par jor na kare

Achhaiyon ko to sab sweekarte hai

Par Jo tumhari buraiyon ke saath bhi

Thahar sa jaaye

Chahe kaise ho haalaat bhi

Tumhe sweekar kare, Aisa koi to ho

Jo tumhara pura Jahan ho

Aisa koi to ho


Aisi me bhagvan se roj prarthna karta hoon

Roj ek khas insan ko

Jo hai bhi ya nahi, vo bhi pata nahi

Par mannate karta hoon

Jiske liye me minnate karta hoon

Aisa koi to ho


Par ek baat bataun

Vaise dekhne jaaye

To akele rahna hi jyada behtar hai

Kyun kisi ko itna seriously Lena hai

Agar tumhe samajne waala aa gaya to thik

Aur nahin bhi aaya, to bhi thik


Bas itna hi kahna chahoonga tumko

apna kartavya nibhate chalna

Chahe laakh kaante aaye van me

Par phir bhi tan se jude rahna

Aur ant me laher se nikalkar

Laher se hi jud jaana


Aur pahuncha Dena sandesh

Is paavan mitti ko

Jahan se tum aaye ho

Aur jahan tum chale jaaoge


Ki

Ek chhoti si zindagani thi

Paavan iski kahaani thi

Jo meri muh jubaani thi

Aur Jo mujhe aapko batani thi

Jepin Tank 14 August 2024
Tags
Archive